“hey Jino aur Insano ki toliyo! Agar tum samajhte ho ki Aasman aur prithvi (Earth) ke viyaso (Diameters)* me se guzar kar paar nikal sakte ho toh aisa kar dekho atirikt (Extra) bal (Force) ke istemaal ke bina nahi kar sakoge. Ab tum apne Rab ke kin kin vardano (nemato) ko jhutlaye jaoge”
–Quran 55:33-34
Shakti aur Vaeg (Force and Velocity) ke niyamo par adharit upkarno (equipments) ki madad se ek din prithvi aur anye giraho (Planets) ke gurutwakarshan shetra (Gravitational field) me se guzarna sambhav hoga, yeh sanket Quran kar chuka tha. Us kaal me jo vahan mojoud the unke atirikt anye vahno ki khoj hogi, yeh bhi Quran ne bata diya tha –
“Allah ne ghode, khachchar, ghadhe, tumhare vaahan (Vehicle) aur shobha ke liye peyda kiye aur woh (inke alawa aise vaahan) peyda karega jinka tumhe abhi gyaan nahi hai.”
–Quran 16:8-9
In vaahano (Vehicles) par sawaar ho kar chandrama (Moon) par pahuchne ka varnan (details) dekhiye –
“Purn ho jane wala chandrama (Moon) gawah hai ki tum zaroor is dharti se doosri dharti tak sawaari par sawaar ho kar jaoge. (Yeh chamatkar dekh lene ke baad) Phir inhe ab kya ho gaya ki imaan nahi late.”
-Quran 84:18-20
‘Aur dhyaan dene wali ek baat aur hai ki Quran me chandrama (Moon) ki jo surah hai surah Qamar (Moon) uski pehli aayat se le kar Quran ki aakhri surah Naas ki aakhri aayat tak jitney aayte hai unki tadad 1390 banti hai aur yahi who Islamic saal 1389 Hijri (Roman saal 1969) tha jis saal Neel Armstrong Chanrama (Moon) par pahuncha tha.’
-------------------------------------------------------------------
* sanket (ishara) hai , Gurutvakarshan (Gravity) ki seema (hadd) ki taraf aur prithvi (Earth) aur anye Giraho (Planets) ke gol hone ki taraf bhi.

No comments:
Post a Comment