Jiska astitv na ho usme kisi vastu ko banane ki yogyeta nahi hoti hai: budhdhi is baat ko sweekar hi nahi kar sakti ki jiska koi astitv na ho usme kisi vastu ko banane ki yogyeta ho, budhdhi is baat ko nahi maan sakti ki jiska koi astitv na ho woh kaise dusre ko astitv de sakta hai. Sansaar ki sampoorn veyvastha kisi ke astitv ki suchak hai yadi hum din-pratidin utpann (peyda) hone wali vastu par vichar karein chahe uska sambandh manushyo se ho athwa praniyo se ya vanaspati se isi prakar hawa (air), baarish (rain) aur din aur raat par vichaar kare, surye (sun), chandrama (moon), sitaarein (stars), graho (planets) ki parikrama tatha samast sor mandal (solar system) par ghaur fikr karein isi tarah pal pal hone wale badlaav par vichaar karein toh buddhi ka antim faisla yahi hoga ki yeh sab kadapi (hargiz) kisi aise viyaktitv ki karigari nahi ho sakti jiska astitv hi nahi hai balki ek aisi shakti ke chamatkar hain jo sabka srajan (nirman) karne wala hai aur uska astitv sarvmanye (tasleem shuda) hai ata: pavitr Quran kehta hain:
"Kya yeh log baghair kisi peyda karne wale ke khud ba khud peyda ho gaye hain ya yeh khud apne peyda karne wale hain? Ya unhone aasman aur zameen ko peyda kiya hain? Balki yeh log yaqeen nahi laate."
- Quran 52:35-36
No comments:
Post a Comment