Tuesday, 6 March 2012

Muhammad (S.A.W.) aur Ved


Vedo me Naraashans ya Muhammad ke aane ki bhavishyevaani koi aashcharyejanak baat nahi hai, balki dharmic girantho me Ishdooto (Peyghambaro) ke aagman ki poorv soochna milti rahi hai. Yeh zaroor hai ki Muhammad (Un par shaati ho) ke aane ki bhavishyewaani jitni adhik dhaarmik girantho me ki gayi hai utni kisi anye peyghambar ke bare me nahi ki gayi hai kyunki Muhammad (S.A.W.) antim Ishdoot hai isliye unke aane ka zikr sabhi dhaarmik giranto me mojoud hai. Hinduo, Ishaiyyo, Yahudiyon aur bodho aadi ke dharmik girantho me Muhammad (S.A.W.) ke antim Ishdoot ke roop me aagman ki bhavishyewaani ki gayi hai.
Vedo ka ’Naraashans’ shabd ‘Nar’ aur ‘Aashans’ shabdo se milkar bana hai. ‘Nar’ ka arth ‘Manushye’ hota hai aur ‘Aashans’ ka arth ‘Prshansit’. Saayan ne ‘Naraashans’ ka arth ‘Manushyo dwara prshansit bataya hai (Saayan bhaashye, Rigved Sanhita, 5/5/2), ‘Naraashans’ shabd ka arth Swami Dayanand Saraswati ne bhi manushyo dwara prshansit bataya hai (Rigved hindi bhaashye, prasht 25, prkaashak: Sarvdeshik Arye Prtinidhi Sabha). Yeh shabd karmdharye samaas hai, jiska vichched ‘Narshichaso Aashans:’ arthaat Prshansit Manushye hoga. Dr. Ved Prakash Upadhyaay kehte hai ki “Isi liye is shabd se kisi Devta ko bhi na samjhna chahiye. ‘Naraashans’ shabd swta: hi is baat ko ispasht kar deta hai ki ‘Prshansit’ shabd jiska vishleshan hai, woh Manushye hai. Yadi koi ‘Nar’ shabd ko devvaachak mane toh uske samadhaan me itna ispasht kar dena aavshiyak hai ki ‘Nar’ na toh devtao ka paryaavaachi shabd hi hai aur na toh devyoniyo ke antargat koi vishesh jaati (Dekhen Naraashans aur antim rishi, prasht 5).
‘Nar’ Shabd ka arth ‘Manushye’ hot hai, kyunki ‘Nar’ Shabd ‘Manushye’ ke paryaavaachi me se ek hai. ‘Naraashans’ ki tarah ‘Muhammad’ shabd ka arth ‘Prshansit’ hota hai. ‘Muhammad’ shabd ‘Hamd’ dhaatu se bana hai, jiska arth prshansa karna hota hai. Rigved me ‘Keeri’ naam aaya hai, jiska arth hai Ishwar Prshansak. Ahmad shabd ka bhi yahi arth hain. Ahmad, Muhammad sahab ka ek naam hai.
Vedo me Rigved sabse purana hai. Usme ‘Naraashans’ shabd se shuru hone wale aath (8) mantr hai. Rigved ke prtham Mandal, 13ve sukt, teesre (3rd) mantr aur 18ve sukt, Nave (9th) mantr tatha 106ve sukt, chothe (4th) mantr me ‘Naraashans’ ka varnan aaya hai. Rigved ke dwitye (2nd) mandal ke teesre (3rd) sukt, dusre (2nd) mantr, 5ve mandal ke 5ve sukt, teesre (3rd) aur 142ve sukt, dusre (2nd) mantr me bhi ‘Naraashans’ vishyak varnan aaye hai. Saamved sanhita ke 1319ve mantr me aur Vaajsaneyi Sanhita ke 28ve adhyaay ke 27ve mantr me bhi ‘Naraashans’ ke baare me zikr aaya hai. Taittirye Aaranyak aur shatpath brahaman girantho ke alawa Yajurved, Saamved aur Artharvved me bhi ‘Narashans’ ke ullekh kiya gaya hai.
______________________________________________
S.A.W. = Sallallahu Alaihi Wa Sallam = Un par shanti ho

No comments:

Post a Comment

 
Dharma (Deen) is only peace for humanity Copyright © | Template designed by Liza Burhan | SEO by Islamic Blogger Template