'Dharm' ka arth hota hain dharan karna, Moksh arthaat swarg (jannat) me jane ke liye chaar cheezo ka dharan karna aavshyak hain
1. Vishwas: Sarvpratham Ishwar ke astitv par vishwas laana aur uske Ishdooto (Nabiyo), uski kitab, Farishto (Devtao), Bhaagye, swarg, nark, antim din aadi par Vishwas Rakhna
2. Sadkarm (Nek Aamal): Allah (Ishwar) ke bataye anusaar har manushye ke liye prem ki bhaavna rakhna kisi ke saath bhedbhaav chuachoot aadi ka veyvahar na karna aur uske bataye anusaar uski upasna (ibadat) karna Namaz padhna, Roza Rakhna, zakaat dena, hajj karna gharibo ko daan dena bhoko ko khana khilana logo ki bhalaye ke liye karye karna aadi.
3. Satye Batana: Jo bhi Dharm ka Ishwar ka sachcha gyan aap tak pahuch gaya hain use dusro tak pahuchana apne aur dusro ki mukti aur moksh ke liye karye karna
4. Dherye (sabr): Har lamha dherye se kaam lena aur vishwas rakhna ki ishwar acha karenge aur dusro ko bhi dherye ki nasihat karna hamesha sachchai par date rehna
No comments:
Post a Comment