Sunday, 11 March 2012

Quran me Orbits, Gasseous Mass, Nebula aur Big Bang theory ka zikr

Quran me Orbits, Gasseous Mass, Nebula aur Big Bang theory ka zikr:

"Surye Chandrama ko apni aor khheench nahi sakta aur na din raat se aage nikal sakta hai. yeh sab ek kaksha (orbits) me apni gati ke saath chal rahe hai."
-Quran 36:40

Din ke raat se aage nikalne ke shabd dekhiye, Prithvi se unchai par jaakar dekha jaye toh is drishye ka inhi shabdo me ullekh kiya ja sakta hai ki dono ek dusre ka peecha kar rahe hai. iske atrikt aaayat me "Yasbahun" shabd hai jiska arth haiki woh apni gati ke saath chal rahe hai arthaat aayat me baat diya gaya hai ki surye chandrama aur prithvi apni-apni dhuri (Axis) par ghoom rahe hai aur is gati ke saath-saath apni-apni kakshao (Orbits) me bhi ghoom rahe hai. 20vi (20th) shatabdi me aakar vigyaaan (Science) ne bataya ki surye apni dhuri (Axis) par ek chakkar 25 din me pura karta hai aur apni Kakshaa (Orbits) me 125 meel (Mile) priti second (7,20,000 priti kilometer priti ghante) ki gati se chalte hue ek chakkar 25 crore varsh me pura karta hai. Aadhunik Vigyaanik shodh ne ab yeh bataya hain ki surye wa chandrama ki jeewan avdhi ek din samapt ho jayegi aur yeh ki surye ek vishesh disha me bhi baha chala jaa raha hai. aaj vigyaan ne us isthaan ko nishcit bhi kar diya hai jahaa surye jaakar samaapt hoga. use solar apex ka naam diya gaya hain aur surye uski aor 12 meel (mile) priti second ki gati se badh raha hai.
ab zara beesvi (20th) sadi ke in anusandhaano ko Qur'an ki do aayto me dekhe

"Kya tumne is par drishti nahi daali ki Allah raat ko din me aur din ko raat me privesh karta hai. Surye aur chandrama ko kaam me laga rakha hai. har ek nishchit kaal tak hi chalega (aur Allah jab aisa sarvshaktimaan aur sarvgyaani hai toh) Allah tumhare saare karmo ki jaankaari bhi rakhta hai."
- Quran 31:29
is aayat me ek nishchit samay tak surye aur chandrama ki jeevan ka ullekh kiya gaya hai aur ab surye ke ek vishisht isthaan ki aor khisakne ka varnan -

"Aur ek nishaani yeh bhi hai ki surye apne lakshye ki aur chala ja raha hai. yeh ek athaah gyaan wale (Allah) ka nishchit kiya hua hisaab hai"
-Quran 36:38
yeh aakaashganga, sor mandal, tatha prithvi wa aakash kaise utpann hue is sambandh me Quran ne sanket diya tha -

"Phir usne (Allah ne) dhyaan kiya aur woh pehle dhuaan (Gasseous Mass) tha"
-Quran 41:41

"Kya inkaar karne wale nahi dekhte ki aakash aur prithivi prarambh me ek deh the phir hamne unhe alag-alag chitkaya aur har jeev ki utpatti ka adhaaar pani ko banaya? kya ab bhi woh imaan nahi layenge?"
-Quran 21:30

Uprokt dono aayte Nebula aur vishaal visphot sidhdhant (big-bang theory) ki aor sanket karti hai. yeh bhi vishisht. roop se note kar lein ki in sab aayto me Ishwar ne inkaar karne walo ko imaan laane ka nirdesh ye kehte hue diya hain ki hamare in chamatkaro ko dekh kar bhi tum kyu imaan nahi laate. 1400 saal pehle koi viyakti apne samanye jeevan ke anubhavo par adharit saadhaaran si kavita ke roop me logo ke samaksh prastoot karta toh usme chunoti na hoti ki yeh saadhaaran baate nahi, varan Ishwar ka woh mahan chamatkaar hain jinhe dekh kar tumhe imaan laana hi chahiye.
Allah ne Quran me farmaya hai -

"Aasmano aur zameen me jo kuch hai, use hamne tumhare adheen kar diya hai aur is tathye me un logo ke liye nishaaaniyaan hain jo chintan karte hain."
-Quran 45:13

Tuesday, 6 March 2012

Muhammad (S.A.W.) aur Ved


Vedo me Naraashans ya Muhammad ke aane ki bhavishyevaani koi aashcharyejanak baat nahi hai, balki dharmic girantho me Ishdooto (Peyghambaro) ke aagman ki poorv soochna milti rahi hai. Yeh zaroor hai ki Muhammad (Un par shaati ho) ke aane ki bhavishyewaani jitni adhik dhaarmik girantho me ki gayi hai utni kisi anye peyghambar ke bare me nahi ki gayi hai kyunki Muhammad (S.A.W.) antim Ishdoot hai isliye unke aane ka zikr sabhi dhaarmik giranto me mojoud hai. Hinduo, Ishaiyyo, Yahudiyon aur bodho aadi ke dharmik girantho me Muhammad (S.A.W.) ke antim Ishdoot ke roop me aagman ki bhavishyewaani ki gayi hai.
Vedo ka ’Naraashans’ shabd ‘Nar’ aur ‘Aashans’ shabdo se milkar bana hai. ‘Nar’ ka arth ‘Manushye’ hota hai aur ‘Aashans’ ka arth ‘Prshansit’. Saayan ne ‘Naraashans’ ka arth ‘Manushyo dwara prshansit bataya hai (Saayan bhaashye, Rigved Sanhita, 5/5/2), ‘Naraashans’ shabd ka arth Swami Dayanand Saraswati ne bhi manushyo dwara prshansit bataya hai (Rigved hindi bhaashye, prasht 25, prkaashak: Sarvdeshik Arye Prtinidhi Sabha). Yeh shabd karmdharye samaas hai, jiska vichched ‘Narshichaso Aashans:’ arthaat Prshansit Manushye hoga. Dr. Ved Prakash Upadhyaay kehte hai ki “Isi liye is shabd se kisi Devta ko bhi na samjhna chahiye. ‘Naraashans’ shabd swta: hi is baat ko ispasht kar deta hai ki ‘Prshansit’ shabd jiska vishleshan hai, woh Manushye hai. Yadi koi ‘Nar’ shabd ko devvaachak mane toh uske samadhaan me itna ispasht kar dena aavshiyak hai ki ‘Nar’ na toh devtao ka paryaavaachi shabd hi hai aur na toh devyoniyo ke antargat koi vishesh jaati (Dekhen Naraashans aur antim rishi, prasht 5).
‘Nar’ Shabd ka arth ‘Manushye’ hot hai, kyunki ‘Nar’ Shabd ‘Manushye’ ke paryaavaachi me se ek hai. ‘Naraashans’ ki tarah ‘Muhammad’ shabd ka arth ‘Prshansit’ hota hai. ‘Muhammad’ shabd ‘Hamd’ dhaatu se bana hai, jiska arth prshansa karna hota hai. Rigved me ‘Keeri’ naam aaya hai, jiska arth hai Ishwar Prshansak. Ahmad shabd ka bhi yahi arth hain. Ahmad, Muhammad sahab ka ek naam hai.
Vedo me Rigved sabse purana hai. Usme ‘Naraashans’ shabd se shuru hone wale aath (8) mantr hai. Rigved ke prtham Mandal, 13ve sukt, teesre (3rd) mantr aur 18ve sukt, Nave (9th) mantr tatha 106ve sukt, chothe (4th) mantr me ‘Naraashans’ ka varnan aaya hai. Rigved ke dwitye (2nd) mandal ke teesre (3rd) sukt, dusre (2nd) mantr, 5ve mandal ke 5ve sukt, teesre (3rd) aur 142ve sukt, dusre (2nd) mantr me bhi ‘Naraashans’ vishyak varnan aaye hai. Saamved sanhita ke 1319ve mantr me aur Vaajsaneyi Sanhita ke 28ve adhyaay ke 27ve mantr me bhi ‘Naraashans’ ke baare me zikr aaya hai. Taittirye Aaranyak aur shatpath brahaman girantho ke alawa Yajurved, Saamved aur Artharvved me bhi ‘Narashans’ ke ullekh kiya gaya hai.
______________________________________________
S.A.W. = Sallallahu Alaihi Wa Sallam = Un par shanti ho
 
Dharma (Deen) is only peace for humanity Copyright © | Template designed by Liza Burhan | SEO by Islamic Blogger Template