1. Ashvrohan evam Khadagdharan – Bhagwatpuran (12:2:19), Dwadash Skandh Dwitye Adhyaay ke Unneeswe Shlok se Kalki ka Devtao dwara diye gaye ashv (Horse) par chadna evam talwaar dwara dushto ka sanhaar karna ullikhit hai. Kalki ka ghoda jo Devtao dwara unhe diya jayega bahut uttam rahega, usi par chadkar woh dushto ka sanhaar karenge. Muhammad Sallallahi Alaihi Wassallam (Un par Ishwar ki shaanti ho) ko bhi Farishto dwara ghoda mila tha, jiska naam Burraaq tha, Us par bethkar Muhammad S.A.W. ne raatri ko teerth yaatra kit hi, Muhammad S.A.W. (Un par Ishwar ki shaanti ho) ko ghode adhik priye the. Aur unke saat ghode the. Antim Avtaar ko khadagdhaari bataya gaya hai Dushto ka sanhaar Antim Avtaar ke dwara Talwaar se hai na ki Atom bomb aadi. Vichaarniye hai ki yeh samay anuyug hai na ki Talwaar ka yug. Talwaar ka yug beet chukka hai. Muhammad S.A.W. ke paas 9 talwaare thi. Anas ne kaha ki mene Muhammad S.A.W. ko dekha ki ghode par sawaar the aur aur gale me par talwaar latkaye hue the (Bukhari).
2. Jagadguru – Bhagwatpuran me Antim Avtaar ko Jagadpati kaha gaya hai (Bhagwatpuran, dwadash skandh, dwitye adhyaay, 19 wa shlok) Jagat ka arth hai ‘Sansaar’ aur pati ka arth hai ‘Rakshak’. Jagatpati shabd ka arth hua ki apne updesho dwara girte hue samaj ko bachane wala. Woh samaj koi simit samaj toh hai nahi, woh samaj hai sansaar. Taatparye ye hua ki Jagat ka guru. Muhammad S.A.W. ke liye bhi Quran me kaha gaya hai, ‘Ae Muhammad (S.A.W.) ! Elaan kar do saari duniya bhar ke liye Nabi ho kart um aaye ho.’ -Quran 7:158. Dusri jagah yeh bhi kaha gaya hai, ki ‘Pavitr hai woh Astitv, jisne apne bhakt par Pavitr Giranth utara, taaki sampurn sansaar ke liye woh paapo ka darr dikhane wala ho’ –Quran 25:1.
Is prikaar Jagatguru ka astitv evam mehetv dono hi sidh hote hai.
Is prikaar Jagatguru ka astitv evam mehetv dono hi sidh hote hai.
3. Asadhudaman- Kalki ke vishey me ullekh hai ki woh dushto ka daman karenge (Bhagwatpuran 12:2:19) . Yahi yahi baat Muhammad S.A.W. par bhi ghatit hoti hai. Unhone bhi daman kiya, toh dushto ka hi. Quran me yeh bhi kaha gaya hai, ki jinko sataya gaya hai, unko aagya di jaati hai ki veh bhi lade , is karan se ki un par atyachaar kiya gaya hai aur Parmeshwar unki sahayta par puri sahkti rakhta hai. Jo log apne gharo se nikale gaye kewal is baat par ki Ishwar unka palak hai. Muhammad S.A.W. ne lutero aur dakuon ko sudhar kar unhe Ekeshwarvaad ki shiksha di, tatha Ishwar ki puja me aur Devtao ke mishran ka virodh kiya tatha Murtipuja ka bhi khandan kiya. Unhone jis dharma ki isthaapna ki, uske vishey me kaha ki mein praacheen dharma ko hi isthaapit kar raha hoon. Koi yeh naya dharma nahi hai. Islam shabd ka arth hai, Ishwar ki aagya ka palan karane wala dharma aur Ved shabd bhi Ishwariye Vaani hai aur unki aagya paalan karane wala dharma Vedik dharma hai, ata Vedik ya Islam Dharam aur Vedik dharma me saamye hai jo Vedik ya Islam Sharam ke marg me baadhak hai, unhe Naastik ya Kafir kaha jata hai, unse virodh ki baat aur unke daman ki baat swaabhavik hi hai.
Jis paristhiti me Muhammad S.A..W ka janm hua, woh paristhiti dakuon aur dushto se yukt thi. Ladkiyon ko Qatl kar diya jaat tha.
Unke janm ke pehle Iraan toh Kubaad pratham baadshaah tha, jo Bhajdak ke updesh se prabhaaweet ho kar ye ghoshit kar chukka tha ki Dhan aur Aurat sabhi ki hai, un par kisi viyakti vishesh ka dhikaar nahi. Isi ke parinaam swaaroop veybhichaar apni seema ko paar kar chuka tha. Baad me Muhammad S.A.W. hi aise viyakti hue jinke warg ne un aattaiyyon ko parajit karke dharma ki maryaada isthaapit karne me safalta praapt ki.
4. Isthaan sambandhi saamye – kalki ka isthaan Shambhal hoga (Bhagwatpuran 12:2:18) aur woh waha ke purohit ke yaha janm lenge. Purohit ka naam Vishnu yash hoga. Itna jo gyaat hi hai ki ukt naam Sanskirt bhaasha ke hain, jo ya toh arth ko nirdhaarit karke likhe gaye hain, yaa toh un naamo ka vikirt roop Arbi bhaasha me ho gaya hai.
Sanskirt praaye arthpraadhaan naamo ko mehetv deta hai, atev un naamo ke arth ko hi siweekaar karna adhik upyukt hai.
Sanskirt praaye arthpraadhaan naamo ko mehetv deta hai, atev un naamo ke arth ko hi siweekaar karna adhik upyukt hai.
‘Shambhal’ shabd ‘Shaant karna’ arth wali ‘Sham’ dhatu se bana hua hai,jisme ban pratyey laga hua hai. Shambhal shabd ka arth hoga ‘Shaanti ka ghar’ aur makka ko Arbi bhaasha me ‘Darul Aman’ bhi kaha jaata hai, Jiska arth ‘Shaanti ka ghar’ hai.
5. Praadhaan Purohit key aha janm – Kalki ke vishey me yeh kaha gaya hai ki woh praadhaan purohit ke yah janm lenge. Muhammad S.A.W. ne bhi Makka me Kaaba ke praadhaan purohit key aha janm liya.
6. Maata Pitaa sambandhi saamye- Kalki ki maata ka naam kalki puraan me Sumati (Somwati) aaya hua hai jiska arth hai, shaanti evam mansheel swaabhaav wali. Pitaa ka naam Vishnuyash aaya hua hai, jo bahut hi pavitr tatha Ishwar ka upaasak hoga, Muhammad S.A.W. ki maata ka bhi naam ‘Aamina’ tha jiska arth hota hai, shaanti (Aman) waali, tatha Pitaa ka naam ‘Abdullah’ tha. Abdullah ka arth hai Allah arthaath Vishnu ka banda.
7. Antim Avtaar ki dhaarna me saamye- Kalki ko Antim yug ka antim Avtaar batay gaya hai (Bhagwatpuran pratham skandh, tritye adhyaay, 25 wa shlok). Muhammad S.A.W. ne bhi ghoshna ki hai ki mein antim sandeshta hoon. Yahi karan hai ki musalmaan bhaavi kisi sandeshta ya Avtaar ko nahi maante.
‘Kalki’ shabd ka arth – ‘Vaachaspatyam’ tatha ‘Shabdkalptaru’ mein Anaar ka phal (fruit) khaane wale tatha kalank ko dhone wale kiya gaya hai. Muhammad S.A.W. bhi Anaar aur Khajoor ka phal khaate the, tatha unhone praachin kaal se aaagat mishran (Shirk) aur Nastikta (Kufr) ko dho diya.
‘Kalki’ shabd ka arth – ‘Vaachaspatyam’ tatha ‘Shabdkalptaru’ mein Anaar ka phal (fruit) khaane wale tatha kalank ko dhone wale kiya gaya hai. Muhammad S.A.W. bhi Anaar aur Khajoor ka phal khaate the, tatha unhone praachin kaal se aaagat mishran (Shirk) aur Nastikta (Kufr) ko dho diya.
8. Uttardishigaman tatha updesh sambandhi saamye- Kalki Puran me ullikhit hai, ki kalki peyda hone ke baad pahadi ki taraf chale jayenge aur waha Parshuraam ji se gyaan praapt karenge baad me uttar ki taraf jakar phir lotenge. Muhammad S.A.W bhi janm lene ke kuch samay baad pahadiyon ki taraf chale gaye aur wahaan Jibreel (A.S.) dwaara gyaan praapt kiya, arthaat un par Quran ki aayto ka utarna shuru huaa. Uske baad woh uttar Madine jaakar wahaan se phir dakshin ki aur lot aaye aur apne isthaan ko vijit kiya, yahi ghatna Kalki ke vishey me bhi ghatne ki purano dwaara ghoshna hain.
9. Janmtithi sambandhi saamye- Kalki puraan me Kalki ke janm ki tithi ke sambandh me likha hai ki maadhav maas me shukl paksh dwadashi ko janm hoga (Kalki Puraan adhyaay 2, shlok 15). Aur Muhammad S.A.W. ka janm bhi 12 rabi ul awwal ko hua tha. 12 rabi ul awwal ka arth hai, chaand ki baarhvi (12th) tithi arthaat shuklpaksh dwaadashi.