Sunday, 11 March 2012

Quran me Orbits, Gasseous Mass, Nebula aur Big Bang theory ka zikr

Quran me Orbits, Gasseous Mass, Nebula aur Big Bang theory ka zikr:

"Surye Chandrama ko apni aor khheench nahi sakta aur na din raat se aage nikal sakta hai. yeh sab ek kaksha (orbits) me apni gati ke saath chal rahe hai."
-Quran 36:40

Din ke raat se aage nikalne ke shabd dekhiye, Prithvi se unchai par jaakar dekha jaye toh is drishye ka inhi shabdo me ullekh kiya ja sakta hai ki dono ek dusre ka peecha kar rahe hai. iske atrikt aaayat me "Yasbahun" shabd hai jiska arth haiki woh apni gati ke saath chal rahe hai arthaat aayat me baat diya gaya hai ki surye chandrama aur prithvi apni-apni dhuri (Axis) par ghoom rahe hai aur is gati ke saath-saath apni-apni kakshao (Orbits) me bhi ghoom rahe hai. 20vi (20th) shatabdi me aakar vigyaaan (Science) ne bataya ki surye apni dhuri (Axis) par ek chakkar 25 din me pura karta hai aur apni Kakshaa (Orbits) me 125 meel (Mile) priti second (7,20,000 priti kilometer priti ghante) ki gati se chalte hue ek chakkar 25 crore varsh me pura karta hai. Aadhunik Vigyaanik shodh ne ab yeh bataya hain ki surye wa chandrama ki jeewan avdhi ek din samapt ho jayegi aur yeh ki surye ek vishesh disha me bhi baha chala jaa raha hai. aaj vigyaan ne us isthaan ko nishcit bhi kar diya hai jahaa surye jaakar samaapt hoga. use solar apex ka naam diya gaya hain aur surye uski aor 12 meel (mile) priti second ki gati se badh raha hai.
ab zara beesvi (20th) sadi ke in anusandhaano ko Qur'an ki do aayto me dekhe

"Kya tumne is par drishti nahi daali ki Allah raat ko din me aur din ko raat me privesh karta hai. Surye aur chandrama ko kaam me laga rakha hai. har ek nishchit kaal tak hi chalega (aur Allah jab aisa sarvshaktimaan aur sarvgyaani hai toh) Allah tumhare saare karmo ki jaankaari bhi rakhta hai."
- Quran 31:29
is aayat me ek nishchit samay tak surye aur chandrama ki jeevan ka ullekh kiya gaya hai aur ab surye ke ek vishisht isthaan ki aor khisakne ka varnan -

"Aur ek nishaani yeh bhi hai ki surye apne lakshye ki aur chala ja raha hai. yeh ek athaah gyaan wale (Allah) ka nishchit kiya hua hisaab hai"
-Quran 36:38
yeh aakaashganga, sor mandal, tatha prithvi wa aakash kaise utpann hue is sambandh me Quran ne sanket diya tha -

"Phir usne (Allah ne) dhyaan kiya aur woh pehle dhuaan (Gasseous Mass) tha"
-Quran 41:41

"Kya inkaar karne wale nahi dekhte ki aakash aur prithivi prarambh me ek deh the phir hamne unhe alag-alag chitkaya aur har jeev ki utpatti ka adhaaar pani ko banaya? kya ab bhi woh imaan nahi layenge?"
-Quran 21:30

Uprokt dono aayte Nebula aur vishaal visphot sidhdhant (big-bang theory) ki aor sanket karti hai. yeh bhi vishisht. roop se note kar lein ki in sab aayto me Ishwar ne inkaar karne walo ko imaan laane ka nirdesh ye kehte hue diya hain ki hamare in chamatkaro ko dekh kar bhi tum kyu imaan nahi laate. 1400 saal pehle koi viyakti apne samanye jeevan ke anubhavo par adharit saadhaaran si kavita ke roop me logo ke samaksh prastoot karta toh usme chunoti na hoti ki yeh saadhaaran baate nahi, varan Ishwar ka woh mahan chamatkaar hain jinhe dekh kar tumhe imaan laana hi chahiye.
Allah ne Quran me farmaya hai -

"Aasmano aur zameen me jo kuch hai, use hamne tumhare adheen kar diya hai aur is tathye me un logo ke liye nishaaaniyaan hain jo chintan karte hain."
-Quran 45:13

Tuesday, 6 March 2012

Muhammad (S.A.W.) aur Ved


Vedo me Naraashans ya Muhammad ke aane ki bhavishyevaani koi aashcharyejanak baat nahi hai, balki dharmic girantho me Ishdooto (Peyghambaro) ke aagman ki poorv soochna milti rahi hai. Yeh zaroor hai ki Muhammad (Un par shaati ho) ke aane ki bhavishyewaani jitni adhik dhaarmik girantho me ki gayi hai utni kisi anye peyghambar ke bare me nahi ki gayi hai kyunki Muhammad (S.A.W.) antim Ishdoot hai isliye unke aane ka zikr sabhi dhaarmik giranto me mojoud hai. Hinduo, Ishaiyyo, Yahudiyon aur bodho aadi ke dharmik girantho me Muhammad (S.A.W.) ke antim Ishdoot ke roop me aagman ki bhavishyewaani ki gayi hai.
Vedo ka ’Naraashans’ shabd ‘Nar’ aur ‘Aashans’ shabdo se milkar bana hai. ‘Nar’ ka arth ‘Manushye’ hota hai aur ‘Aashans’ ka arth ‘Prshansit’. Saayan ne ‘Naraashans’ ka arth ‘Manushyo dwara prshansit bataya hai (Saayan bhaashye, Rigved Sanhita, 5/5/2), ‘Naraashans’ shabd ka arth Swami Dayanand Saraswati ne bhi manushyo dwara prshansit bataya hai (Rigved hindi bhaashye, prasht 25, prkaashak: Sarvdeshik Arye Prtinidhi Sabha). Yeh shabd karmdharye samaas hai, jiska vichched ‘Narshichaso Aashans:’ arthaat Prshansit Manushye hoga. Dr. Ved Prakash Upadhyaay kehte hai ki “Isi liye is shabd se kisi Devta ko bhi na samjhna chahiye. ‘Naraashans’ shabd swta: hi is baat ko ispasht kar deta hai ki ‘Prshansit’ shabd jiska vishleshan hai, woh Manushye hai. Yadi koi ‘Nar’ shabd ko devvaachak mane toh uske samadhaan me itna ispasht kar dena aavshiyak hai ki ‘Nar’ na toh devtao ka paryaavaachi shabd hi hai aur na toh devyoniyo ke antargat koi vishesh jaati (Dekhen Naraashans aur antim rishi, prasht 5).
‘Nar’ Shabd ka arth ‘Manushye’ hot hai, kyunki ‘Nar’ Shabd ‘Manushye’ ke paryaavaachi me se ek hai. ‘Naraashans’ ki tarah ‘Muhammad’ shabd ka arth ‘Prshansit’ hota hai. ‘Muhammad’ shabd ‘Hamd’ dhaatu se bana hai, jiska arth prshansa karna hota hai. Rigved me ‘Keeri’ naam aaya hai, jiska arth hai Ishwar Prshansak. Ahmad shabd ka bhi yahi arth hain. Ahmad, Muhammad sahab ka ek naam hai.
Vedo me Rigved sabse purana hai. Usme ‘Naraashans’ shabd se shuru hone wale aath (8) mantr hai. Rigved ke prtham Mandal, 13ve sukt, teesre (3rd) mantr aur 18ve sukt, Nave (9th) mantr tatha 106ve sukt, chothe (4th) mantr me ‘Naraashans’ ka varnan aaya hai. Rigved ke dwitye (2nd) mandal ke teesre (3rd) sukt, dusre (2nd) mantr, 5ve mandal ke 5ve sukt, teesre (3rd) aur 142ve sukt, dusre (2nd) mantr me bhi ‘Naraashans’ vishyak varnan aaye hai. Saamved sanhita ke 1319ve mantr me aur Vaajsaneyi Sanhita ke 28ve adhyaay ke 27ve mantr me bhi ‘Naraashans’ ke baare me zikr aaya hai. Taittirye Aaranyak aur shatpath brahaman girantho ke alawa Yajurved, Saamved aur Artharvved me bhi ‘Narashans’ ke ullekh kiya gaya hai.
______________________________________________
S.A.W. = Sallallahu Alaihi Wa Sallam = Un par shanti ho

Friday, 27 January 2012

Antim Avtaar Muhammad S.A.W. (Un par Shaanti ho)



1.      Ashvrohan evam Khadagdharan – Bhagwatpuran (12:2:19), Dwadash Skandh Dwitye Adhyaay ke Unneeswe Shlok se Kalki ka Devtao dwara diye gaye ashv (Horse) par chadna evam talwaar dwara dushto ka sanhaar karna ullikhit hai. Kalki ka ghoda jo Devtao dwara unhe diya jayega bahut uttam rahega, usi par chadkar woh dushto ka sanhaar karenge. Muhammad Sallallahi Alaihi Wassallam (Un par Ishwar ki shaanti ho) ko bhi Farishto dwara ghoda mila tha, jiska naam Burraaq tha, Us par bethkar Muhammad S.A.W. ne raatri ko teerth yaatra kit hi, Muhammad S.A.W. (Un par Ishwar ki shaanti ho) ko ghode adhik priye the. Aur unke saat ghode the. Antim Avtaar ko khadagdhaari bataya gaya hai Dushto ka sanhaar Antim Avtaar ke dwara Talwaar se hai na ki Atom bomb aadi. Vichaarniye hai ki yeh samay anuyug hai na ki Talwaar ka yug. Talwaar ka yug beet chukka hai. Muhammad S.A.W. ke paas 9 talwaare thi. Anas ne kaha ki mene Muhammad S.A.W. ko dekha ki ghode par sawaar the aur aur gale me par talwaar latkaye hue the (Bukhari).

2.      Jagadguru – Bhagwatpuran me Antim Avtaar ko Jagadpati kaha gaya hai (Bhagwatpuran, dwadash skandh, dwitye adhyaay, 19 wa shlok) Jagat ka arth hai ‘Sansaar’ aur pati ka arth hai ‘Rakshak’. Jagatpati shabd ka arth hua ki apne updesho dwara girte hue samaj ko bachane wala. Woh samaj koi simit samaj toh hai nahi, woh samaj hai sansaar. Taatparye ye hua ki Jagat ka guru. Muhammad S.A.W. ke liye bhi Quran me kaha gaya hai, ‘Ae Muhammad (S.A.W.) ! Elaan kar do saari duniya bhar ke liye Nabi ho kart um aaye ho.’ -Quran 7:158. Dusri jagah yeh bhi kaha gaya hai, ki ‘Pavitr hai woh Astitv, jisne apne bhakt par Pavitr Giranth utara, taaki sampurn sansaar ke liye woh paapo ka darr dikhane wala ho’ –Quran 25:1.
Is prikaar Jagatguru ka astitv evam mehetv dono hi sidh hote hai.

3.      Asadhudaman- Kalki ke vishey me ullekh hai ki woh dushto ka daman karenge (Bhagwatpuran 12:2:19) . Yahi yahi baat Muhammad S.A.W. par bhi ghatit hoti hai. Unhone bhi daman kiya, toh dushto ka hi. Quran me yeh bhi kaha gaya hai, ki jinko sataya gaya hai, unko aagya di jaati hai ki veh bhi lade , is karan se ki un par atyachaar kiya gaya hai aur Parmeshwar unki sahayta par puri sahkti rakhta hai. Jo log apne gharo se nikale gaye kewal is baat par ki Ishwar unka palak hai. Muhammad S.A.W. ne lutero aur dakuon ko sudhar kar unhe Ekeshwarvaad ki shiksha di, tatha Ishwar ki puja me aur Devtao ke mishran ka virodh kiya tatha Murtipuja ka bhi khandan kiya. Unhone jis dharma ki isthaapna ki, uske vishey me kaha ki mein praacheen dharma ko hi isthaapit kar raha hoon. Koi yeh naya dharma nahi hai. Islam shabd ka arth hai, Ishwar ki aagya ka palan karane wala dharma aur Ved shabd bhi Ishwariye Vaani hai aur unki aagya paalan karane wala dharma Vedik dharma hai, ata Vedik ya Islam Dharam aur Vedik dharma me saamye hai jo Vedik ya Islam Sharam ke marg me baadhak hai, unhe Naastik ya Kafir kaha jata hai, unse virodh ki baat aur unke daman ki baat swaabhavik hi hai.
Jis paristhiti me Muhammad S.A..W ka janm hua, woh paristhiti dakuon aur dushto se yukt thi. Ladkiyon ko Qatl kar diya jaat tha.
Unke janm ke pehle Iraan toh Kubaad pratham baadshaah tha, jo Bhajdak ke updesh se prabhaaweet ho kar ye ghoshit kar chukka tha ki Dhan aur Aurat sabhi ki hai, un par kisi viyakti vishesh ka dhikaar nahi. Isi ke parinaam swaaroop veybhichaar apni seema ko paar kar chuka tha. Baad me Muhammad S.A.W. hi aise viyakti hue jinke warg ne un aattaiyyon ko parajit karke dharma ki maryaada isthaapit karne me safalta praapt ki.

4.      Isthaan sambandhi saamye – kalki ka isthaan Shambhal hoga (Bhagwatpuran 12:2:18) aur woh waha ke purohit ke yaha janm lenge. Purohit ka naam Vishnu yash hoga. Itna jo gyaat hi hai ki ukt naam Sanskirt bhaasha ke hain, jo ya toh arth ko nirdhaarit karke likhe gaye hain, yaa toh un naamo ka vikirt roop Arbi bhaasha me ho gaya hai.
  Sanskirt praaye arthpraadhaan naamo ko mehetv deta hai, atev un naamo ke arth ko hi siweekaar karna adhik upyukt hai. 
‘Shambhal’ shabd ‘Shaant karna’ arth wali ‘Sham’ dhatu se bana hua hai,jisme ban pratyey laga hua hai. Shambhal shabd ka arth hoga ‘Shaanti ka ghar’ aur makka ko Arbi bhaasha me ‘Darul Aman’ bhi kaha jaata hai, Jiska arth ‘Shaanti ka ghar’ hai.

5.      Praadhaan Purohit key aha janm – Kalki ke vishey me yeh kaha gaya hai ki woh praadhaan purohit ke yah janm lenge. Muhammad S.A.W. ne bhi Makka me Kaaba ke praadhaan purohit key aha janm liya.

6.      Maata Pitaa sambandhi saamye- Kalki ki maata ka naam kalki puraan me Sumati (Somwati) aaya hua hai jiska arth hai, shaanti evam mansheel swaabhaav wali. Pitaa ka naam Vishnuyash aaya hua hai, jo bahut hi pavitr tatha Ishwar ka upaasak hoga, Muhammad S.A.W. ki maata ka bhi naam ‘Aamina’ tha jiska arth hota hai, shaanti (Aman) waali, tatha Pitaa ka naam ‘Abdullah’ tha. Abdullah ka arth hai Allah arthaath Vishnu ka banda.


7.      Antim Avtaar ki dhaarna me saamye- Kalki ko Antim yug ka antim Avtaar batay gaya hai (Bhagwatpuran pratham skandh, tritye adhyaay, 25 wa shlok). Muhammad S.A.W. ne bhi ghoshna ki hai ki mein antim sandeshta hoon. Yahi karan hai ki musalmaan bhaavi kisi sandeshta ya Avtaar ko nahi maante.
‘Kalki’ shabd ka arth – ‘Vaachaspatyam’ tatha ‘Shabdkalptaru’ mein Anaar ka phal (fruit) khaane wale tatha kalank ko dhone wale kiya gaya hai. Muhammad S.A.W. bhi Anaar aur Khajoor ka phal khaate the, tatha unhone praachin kaal se aaagat mishran (Shirk) aur Nastikta (Kufr) ko dho diya.

8.      Uttardishigaman tatha updesh sambandhi saamye- Kalki Puran me ullikhit hai, ki kalki peyda hone ke baad pahadi ki taraf chale jayenge aur waha Parshuraam ji se gyaan praapt karenge baad me uttar ki taraf jakar phir lotenge. Muhammad S.A.W bhi janm lene ke kuch samay baad pahadiyon ki taraf chale gaye aur wahaan Jibreel (A.S.) dwaara gyaan praapt kiya, arthaat un par Quran ki aayto ka utarna shuru huaa. Uske baad woh uttar Madine jaakar wahaan se phir dakshin ki aur lot aaye aur apne isthaan ko vijit kiya, yahi ghatna Kalki ke vishey me bhi ghatne ki purano dwaara ghoshna hain.

9.      Janmtithi sambandhi saamye- Kalki puraan me Kalki ke janm ki tithi ke sambandh me likha hai ki maadhav maas me shukl paksh dwadashi ko janm hoga (Kalki Puraan adhyaay 2, shlok 15). Aur Muhammad S.A.W. ka janm bhi 12 rabi ul awwal ko hua tha. 12 rabi ul awwal ka arth hai, chaand ki baarhvi (12th) tithi arthaat shuklpaksh dwaadashi.

Friday, 6 January 2012

Muhammad (S.A.W.) Akhri Peghambar vibhin Dharmo me


Vedo ne apne ek mahaan doot ka naam Agni bataya tha:


“Hum Agni ko doot (Peghambar) chunte hai”
Rigved 1:12:1
Yaha Agni se matlab Aag nahi balki Manushye (Insaan) hai , Rigved (1:31:15) me saaf saaf Agni ko ‘Nar’ yani  manushye (Insaan)  bataya gaya hai. Phir Rigved (3:29:11) me kaha gaya hai ki Agni ka ek naam ‘Narashans’ hai woh Narashans naam se hi duniya me aayenge. lafz ‘Narashans’ ka tarjuma (Translation) ‘Pirshansa yogye manushye’ (Taareef ke layaq) ya “Muhammad” hota hai. Phir Artarvved (20:127:1-3) me saaf-saaf keh diya gaya ki Narashans ke aane par unki bahut tareef  hogi, Ooth (Camel) unki sawaari hogi, unki kaee biwiyaa hongi. Phir us waqt ke Makke ki aabadi 60,090 hona, Alankirt bhasha me Habsha (Ethiopia) mulk me panah lene walo ki tadad 100 hona, 10 jannati sahaba (Ashra Mubashshira) ka ishara, badar ki jang me fateh ho kar lotne walo ki tadad 300 aur Makke ki fateh ke waqt Islami foj ki tadad 10,000 hone ka bhi zikr kiya gaya hai. Ved mantro ka ye tarjuma purane tarjumekaro Pandit Rajaram aur Pandit khemkaran ke tarjumo par adharit hai. Chandigarh University me Sanskrit ke professor Pandit Ved Prakash Upadhyaay ne yeh sari tafseer bahut saaf alfazo me likhi hai.


Vedo ne apne avtaran kaal (Naazil hone ke waqt) ke bahut baad ‘Narashans’ naam ke ek doot (Peghambar) ke aane ki bhavishyevaani (Peshangohi) ki thi aur Ved lane wale Agyaat (Anjaan) Rishi (Nabi) ko aakhri nahi kaha gaya tha. Gita (4:7) aur Shrimad Bhagwat Mahapuran (9:24:56) me yeh dharna ankit hai ki jab jab duniya me dharam (Mazhab) me bigad peyda ho jata hai aur buraiyya badh jati hai tab Avatar duniya me aate hai [Poranik kaal (Purano ke daur) ke girantho (Sahifo) me doot (Peghamber) ke bajaye Avtaar ki dharna hai].

Yahudiyo (Jews) ki mojuda Toret aur Isaiyyo (Christians) ki mojuda Injeelo me bhi Hazrat Musa aur Hazrat Isa ko aakhri doot (Peghamber) nahi kaha gaya hai. Dono me saaf triqe se baad ke kisi daur me aane wale ek doot ke aane ke ishare diye gaye hai. Injeel me inko Paraclete or Periclytos kaha gaya hai jiska tarjuma hai “Taareef ke layaq” ya “Muhammad”.


Gautam Budh ne bhi khud ko aakhri “Budh” nahi kaha tha. Jab Budh ke shagird Anand ne sawaal kiya, “Aapke jane ke baad kon mardarshan (rehnumaee) karega” Budh ne jawaab diya, “Mein duniya me aane wala na toh pehla Budh hoon aur na akhri honga. Apne waqt me duniya me ek aur Budh aayega woh paak, bahut samjhdar honge.  Achi zindagi ka janne wala, Insaniyat ka anokha neta (Leader), farishto aur anitye manushyo ka guru hoga. Mene jo sach baate tumhe batayee hai woh tumhe batayega. Woh  aise dharam (mazhab) ka  pirchaar karega jiski shuruat bhi roshan hogi darmiyaan bhi roshan hoga aur aakhir bhi roshan hogi. Woh aisi mazhabi zindagi basar karega jo puri aur paak hogi, jaisa ki mera dhang hai. Uske shagird hazaro honge jabki mere sekdo hi hai. Anand ne pucha, “Hum use kaise pehchanenge?” Budh ne jawab diya, “Woh Metrey (rehem karne wale) ke naam se jana jayega….”


Ghaur kare ki Gautam Budh ne bhi apne aapko aakhri nahi kaha balki baad ke kisi daur me aane waale Metrey (rehem karne wale) ki bhavishyevaani kit thi. Ye sun le ki Quran me Hazrat Muhammad S.A.W. ko “Rehmatullil Aalamin” (Sabhi Alamo ke liye rehemat) kaha gaya hai. Paarsiyo ke doot Zarthroostr ke baare me unke paak giranth (Sahife) ”Avesta” me likha hai ki Ishwar ne kaha, “Jaise  Zarthroostr ke raste par chalkar uske manne wale vaibhav ki choti par pahuche isi tarah bhavishye (mustaqbil) me ek waqt me Ishwar ko manne wali ek qaum hogi jo duniya aur uske dharamo (Mazhabo) ko ek nayi zindagi degi aur jo peghambar ki madad ke liye khatarnaak jango me khadi hogi”. Aage is doot (peghambar) ka naam batate hue kaha,” Jiska naam Vijaye Soeshyant hoga aur jiska naam Astvat-Ereta  hoga woh Soeshyaant (Rehmat) hoga kyunki saari duniya ko usse faayda pahuchega aur woh Astvat-Ereta (Jagane wala) hoga kyunki zinda insaan ke roop me woh insaano ki us tabahi ke khilaaf khada hoga jo murti pujako aur mazdaniyo ki buraiyyo se feylega.
 (Farvardin Yasht, 25-29, Quoted by A.H. Vidyarthi in Mohammad in Parsi Scriptures P:18)A

Islam me aakhri doot (Peghambar) ki dhaarna ke alava tamaam dharmo me sirf Jain dharam ke manne ye dharna rakhte hai ki Shri Mahaveer aakhri Teerthkar the lekin waha bhi yeh dawa sirf Jainiyo ka hai, khud Shri Mahaveer ke apne lafzo me unke aakhri hone ka dawa hame nahi milta hai.

Islaam duniya ka aisa akela dharam hai jisko pura karne wale Hazrat Muhammad S.A.W. ne aakhri doot (Pehamber) hone ka elaan kiya.

Wednesday, 4 January 2012

Hindu dharam me Tawheed (Ekeshwarwaad)


1. Sirf ek Ishwar hai usi ki ibadat (upasna) karo.
-Rigveda 6:45:16

2. Woh (Ishwar) ek hai uska koi sajhi nhi hai.
-Chandogya Upanishad 6:2:1

3. Jo Asambhuti arthaat prakirti roop se jad padharth (Agni, Mitti, Waayu aadi) ki upasna karte hai, veh agyaan ke andhkaar me privisht hote hai aur jo ‘Sambhuti’ arthaat in prakirti padhartho ke parinaamswaroop srishti (Pedh, Podhe, Murtiyaa aadi) me raman karte hai veh usse bhi adhik andhkaar me padhte hai.
-Yajurveda 40:9

4. Gyani log ek Ishwar ko alag alag namo se pukarte hai.
-Rigveda 1:164:46

5. Uski koi pratima nahi hai uska naam hi atyant mahan hai sabse bada yash yahi hai.
-Yajurveda 32:3

6. Woh ek hai lekin budhiman log use vibhin namo se pukarte hai jaise Indra, Mitr, Varun, Agni, Divya, Prakashpunj, Suparna (sansar ki suraksha aur iski dekhbhal karne wala) ityadi uska karye bilkul thik thik hota hai.
-Rigveda 1:22:164

7. Mere param bhaav ko na janne wale murkh log mujh sampoorn bhooto ke mahan Ishwar ko shareerdhari samajh kar mera apman karte hai .
-Gita 13:10

8.  Woh shareer vihin (bodyless) aur paak hai.
-Yajurveda 40:8

9. Uske siva kisi ki upasna na karo wohi khuda hai usi ki tareef karo.
-Rigveda 8:1:1



10. Mitti paththar aadi ki Murtiyaa dev nahi hoti hai.
-Srimad Bhagwat Mahapuran 10:84:11

11. Uske atirikt kisi anye ki upasna na karo.
-Rigved 6:45:16


12. Sirf who ek hi swayam se (Bina kisi ke janm diye) Akela vidhmaan hai. 
-Artharvved 13:4:12

13. ek Ishwar hi puja ke yogye aur sabhi pijatiyo me stuti ke yogye hai.
- Artharvved 2:2:1

 
Dharma (Deen) is only peace for humanity Copyright © | Template designed by Liza Burhan | SEO by Islamic Blogger Template