1. “Ishwar ek hai … Ishwar ki satta me na koi saajhidaar hai aur na koi sahayak. Is samochi srishti ka karta, dharta who ek hi hai. Uske vibhinh guno ko vibhin Devtao ke naam se Rishiyo ne pukara hai. Kaha hai –‘Eko Vishvasye Bhuvnasye Raja’ arthaat – Ek hi Parbhram ko viduano ne anek namo se sambodhit kiya hai”
-Sri Ram Sharama Acharye (Page 28, Akhand Jyoti, July 1985)
-Sri Ram Sharama Acharye (Page 28, Akhand Jyoti, July 1985)
2. “Srishti veyvastha me saajhidaar karne wale siwtantar astitv ke devi devtao ki manyeta se munh modh lena hi satyeaur tathye ko apnane ki viveksheelta hai.”
-Sri Ram Sharama Acharye (Page 16, Akhand Jyoti, june 1985)
-Sri Ram Sharama Acharye (Page 16, Akhand Jyoti, june 1985)
3. “Samajhdaar samudaay toh kiramshaa ab is janjaal se apna peecha chudate ja rahe hai. … Is sandharbh me punarvichaar karne ki aavshiyakta hai anyetha yeh bhram jaal badhta hi jayega aur akaran logo me bhehy tatha laalach ka bhaav badhta jayega, Anastha badegi so alag. Un Devtao ke agento tatha pujariyo ke po baarah hote rahenge aur bechare bhawuk log andh shradhdha ke karan apni jeb katate rahenge.”
-Sri Ram Sharama Acharye (Page 14, Akhand Jyoti, June 1985)
-Sri Ram Sharama Acharye (Page 14, Akhand Jyoti, June 1985)
4. “Is srishti ka srishta ek hi hai. Wohi Utpadan, Abhivardhan tatha parivatan ki saari prikiryae apni yojnanusaar sampann karta hai. Na uska koi saajhidaar aur na sahayak…. Ek hi satta bhinn-bhinn prikaar ki ho gayi aur samjha jane laga ki jo jis devi devta ki puja patri karega who usi ko apna samjhega aur usi ki himayat karega … yeh manyeta hai aaj ke bahudev-vaad ki. Is prikaar srishta ka hi kahnd vibhajan nahi hua varan apne-apne kul vansh gram nagar ke bhi pirthak pirthak devi-devta ban gaye… Vibhajan aur sankeernta itne tak hi seemit nahi rahi, Parmeshwar ka bhi bantwara kar liya gaya. Anek Devi-Devta ban kar kahde ho gaye. Unki aakirti hi nahi prikirti bhi apne ko na pujne-dusre ko pujne par weh Devta rusht hone aur tiraas dene par utaru hone lage … Shaaririk, Maansik bimariyon ko unhi ke rusht hone ka karan maan jane laga …. Bahudevvaad ke peeche anekanek katha kahaniyaan Jodi gayee aur unki pirsannta se milne wale laabho ka unki narazgi se milne wale tiraason ki mahatmey gaathaye gadh li gayee. Kitne hi devtaon ka kisnhi parv tiyohaaron ke saath sambandh jod diya gaya . kaiyyo ke isthaan vishesh par jaana aavshiyak mana gaya … samjha jana chahiye ki Ishwar ek hai. Uski veyvastha me anek saajhidaar nahi ho sakte … sampirdaayo me Ishwar ki aakirti aur prikirti anek prikaar ki maani gayi hai. Yadi yeh sach maani jaye toh inme se kisi ek ko sachcha aur baaqi sabko jhootha kehna padega … unke priti pujye bhaav rakhte hue bhi yeh nirniye karna kathin hai ki paraspar Virodhi in pritipaadno me kon sahi aur kon ghalat hai … tatv darshan aur vivek budhi ke adhaar par yeh manna padta hai ki Parmeshwar ek hai. Sampirdaayo ki manyetaaon ke anusaar uske swaroop aur vidhaan sahi nahi ho sakte … viyapak shakti ko niraakaar hona chahiye. Jiska aakaar hoga who ek deshiye aur seemit rahega. Kaha bhi gaya hai – ‘Na Tasye Pratima Asti’ (Yajurved 32:3) arthaat ‘uski koi pratima nahi hai’. Na swaroop na chavi. Aapt vachno ka ek aur bhi kathan aisa hi abhedh hai. Usme kaha gaya hai – ‘Ekam Sadvipra Bahuda Vadanti’ arthaah ‘ek hi parmeshwar ko vidwano ne bahut prikaar se kaah hai’. Yaha andho dwara Haathi ka ek ek ang pakad kar use usi aakirti ka bataye jaane waali kahani yaad aajati hai …. Tatvdarshiyo ne sarvsaadhaaran ki saamaanye budhi ko chitrkarita ke maadhyam se maanavi garima aur utkrishta ke liye aavshiyak dhaarnaao aur priyaaso ke sambandh rehesyemey chitro me chitrit kiya hai. Unka ye arth nahi lagaya jaana chahiye ki Niraakaar, Sarvviyaapi aur Niyaaykaari Parmeshwar ki srishti veyvastha me koi saajhedaar bhi hai aur Weh maatr Manuhaar, Uphaar, Upchaar ke adhaar par prisann aprisann hote rehte hain. Paatrta Kupaatrta ka vichaar kiye bina shaap vardaan dete rehte hain, rusht aur aprisann hote rehte hain. Aisi maanyetaaye andhvishwaas me gini jaayengi aur unhe apnane wale ko bhiramit karnegi. Vaastavikta ko koso door le ja patkengi. Hamme se prityek ko yatharthvaadi aur tatvdarshi hona chahiye.
-Sri Ram Sharama Acharye (Page 13-16, Akhand Jyoti, June 1985)